kya ashk ki zaban mein gham bolte nahin
kyā ashk kī zabān meñ ġham bolte nahīñ
is baat par na jaao ki ham bolte nahīñ
tum to savāl-e-shauq pe tasvīr ban ga.e
duniyā ne sach kahā hai sanam bolte nahīñ
dil toḌnā gunāh hai chāhe vo kufr ho
is mas.ale pe ahl-e-haram bolte nahīñ
āvāz de rahī haiñ hameñ taaza uljhaneñ
har chand un kī zulf ke ḳham bolte nahīñ
vo ho ga.e haiñ mohr-ba-lab bā'd-e-iltifāt
ehsān kar ke ahl-e-karam bolte nahīñ
nazreñ to chheḌtī haiñ fasāne na.e na.e
tum bolte nahīñ kabhī ham bolte nahīñ
maġhrūr ho agar koī is shaan kā to ho
sajdoñ se un ke naqsh-e-qadam bolte nahīñ
kya ashk ki zaban mein gham bolte nahin
is baat par na jao ki hum bolte nahin
tum to sawal-e-shauq pe taswir ban gae
duniya ne sach kaha hai sanam bolte nahin
dil toDna gunah hai chahe wo kufr ho
is masale pe ahl-e-haram bolte nahin
aawaz de rahi hain hamein taza uljhanen
har chand un ki zulf ke KHam bolte nahin
wo ho gae hain mohr-ba-lab ba'd-e-iltifat
ehsan kar ke ahl-e-karam bolte nahin
nazren to chheDti hain fasane nae nae
tum bolte nahin kabhi hum bolte nahin
maghrur ho agar koi is shan ka to ho
sajdon se un ke naqsh-e-qadam bolte nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.