kya bache dil jaan-lewa us ka har andaz hai
kyā bache dil jān-levā us kā har andāz hai
ġhamza hai ishva hai shoḳhī hai adā hai naaz hai
mahfil-e-ishrat meñ merā dil navā-pardāz hai
nāla-e-hasrat mirā goyā sadā-e-sāz hai
tauba bhī kar leñge ham jab vaqt us kā aa.egā
hazrat-e-vā.iz dar-e-tauba abhī to baaz hai
hogī phir be-e'tinā.ī hai abhī to iltifāt
phir vahī anjām hogā phir vahī āġhāz hai
dekh to is but ko zāhid aur kah īmān se
terī hūroñ meñ ye ra.anā.ī hai ye andāz hai
dil jigar chhid jaate haiñ aur kuchh ḳhabar hotī nahīñ
vo nigāh-e-nāz goyā tīr-e-be-āvāz hai
merī hastī ik muamma hai jise samjhā na maiñ
yā ḳhudā ye bhī tirī qudrat kā koī raaz hai
dar qafas kā khol de sayyād itmīnān se
tere said-e-shauq ko kab ḳhvāhish-e-parvāz hai
sun ke merā qissa-e-ġham un kā kahnā naaz se
vaah kyā tarz-e-bayāñ hai vaah kyā andāz hai
dil lagāte hī mujhe laale paḌe haiñ jaan ke
us kā kyā anjām hogā jis kā ye āġhāz hai
haa.e 'nashtar' vo mirā hamdard dil ġham-ḳhvār dil
ab kahāñ hai ham-nashīñ koī kahāñ hamrāz hai
kya bache dil jaan-lewa us ka har andaz hai
ghamza hai ishwa hai shoKHi hai ada hai naz hai
mahfil-e-ishrat mein mera dil nawa-pardaz hai
nala-e-hasrat mera goya sada-e-saz hai
tauba bhi kar lenge hum jab waqt us ka aaega
hazrat-e-waiz dar-e-tauba abhi to baz hai
hogi phir be-e'tinai hai abhi to iltifat
phir wahi anjam hoga phir wahi aaghaz hai
dekh to is but ko zahid aur kah iman se
teri huron mein ye ranai hai ye andaz hai
dil jigar chhid jate hain aur kuchh KHabar hoti nahin
wo nigah-e-naz goya tir-e-be-awaz hai
meri hasti ek muamma hai jise samjha na main
ya KHuda ye bhi teri qudrat ka koi raaz hai
dar qafas ka khol de sayyaad itminan se
tere said-e-shauq ko kab KHwahish-e-parwaz hai
sun ke mera qissa-e-gham un ka kahna naz se
wah kya tarz-e-bayan hai wah kya andaz hai
dil lagate hi mujhe lale paDe hain jaan ke
us ka kya anjam hoga jis ka ye aaghaz hai
hae 'nashtar' wo mera hamdard dil gham-KHwar dil
ab kahan hai ham-nashin koi kahan hamraaz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.