kya bataen kahan kahan the phul
kyā batā.eñ kahāñ kahāñ the phuul
ḳhaak uḌtī hai ab jahāñ the phuul
bhīgī bhīgī sī dekh kar kaliyāñ
muskurā.e jahāñ jahāñ the phuul
dil meñ gulshan khilā ga.e kyā kyā
yuuñ to do din ke mehmāñ the phuul
jab ḳhizāñ aa.ī jaañ pe khel ga.e
mahram-e-jehd-e-be-karāñ the phuul
jis ne toḌā usī ko rañj huā
misl-e-paimāna-e-muġhāañ the phuul
din kī zulmat-nasīb bastī meñ
rāhgīroñ kī kahkashāñ the phuul
kya bataen kahan kahan the phul
KHak uDti hai ab jahan the phul
bhigi bhigi si dekh kar kaliyan
muskurae jahan jahan the phul
dil mein gulshan khila gae kya kya
yun to do din ke mehman the phul
jab KHizan aai jaan pe khel gae
mahram-e-jehd-e-be-karan the phul
jis ne toDa usi ko ranj hua
misl-e-paimana-e-mughaan the phul
din ki zulmat-nasib basti mein
rahgiron ki kahkashan the phul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.