kya bataun ki kis guman mein hun
kyā batā.ūñ ki kis gumān meñ huuñ
mustaqil ek imtihān meñ huuñ
ābla-pā huuñ aur safar meñ huuñ
par-burīda huuñ aur uḌaan meñ huuñ
ḳhud-sarī rakh ke shāhzādī sī
kuchh kanīzoñ ke darmiyān meñ huuñ
tū ki tūfāñ mujhe samajh baiThā
ġhaur se dekh bādbān meñ huuñ
aap ne ḳhat nahīñ likhā varna
maiñ to ab bhī usī makān meñ huuñ
us kī āñkhoñ meñ Duub kar maiñ 'nishāt'
ḳhūb-sūrat se ik jahān meñ huuñ
kya bataun ki kis guman mein hun
mustaqil ek imtihan mein hun
aabla-pa hun aur safar mein hun
par-burida hun aur uDan mein hun
KHud-sari rakh ke shahzadi si
kuchh kanizon ke darmiyan mein hun
tu ki tufan mujhe samajh baiTha
ghaur se dekh baadban mein hun
aap ne KHat nahin likha warna
main to ab bhi usi makan mein hun
us ki aankhon mein Dub kar main 'nishat'
KHub-surat se ek jahan mein hun
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 39)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.