kya bataun ki kya tha aankhon mein
kyā batā.ūñ ki kyā thā āñkhoñ meñ
qahr koī bapā thā āñkhoñ meñ
ek sannāTā sā thā āñkhoñ meñ
jaise tūfāñ chhupā thā āñkhoñ meñ
dil meñ ātish-fishāñ thā zaḳhm koī
aur dhuāñ uTh rahā thā āñkhoñ meñ
jis ke dam se thī raushnī vo hī
ḳhvāb chubhne lagā thā āñkhoñ meñ
dard Dhalne lage the ashkoñ meñ
zabt TuuTā milā thā āñkhoñ meñ
guzre vaqtoñ kī har masarrat kā
'aks dhuñdlā gayā thā āñkhoñ meñ
ḳhauf māyūsī bebasī vahshat
karb kā silsila thā āñkhoñ meñ
kya bataun ki kya tha aankhon mein
qahr koi bapa tha aankhon mein
ek sannaTa sa tha aankhon mein
jaise tufan chhupa tha aankhon mein
dil mein aatish-fishan tha zaKHm koi
aur dhuan uTh raha tha aankhon mein
jis ke dam se thi raushni wo hi
KHwab chubhne laga tha aankhon mein
dard Dhalne lage the ashkon mein
zabt TuTa mila tha aankhon mein
guzre waqton ki har masarrat ka
'aks dhundla gaya tha aankhon mein
KHauf mayusi bebasi wahshat
karb ka silsila tha aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.