kya bataun tujhe hamdam meri haalat kya hai
kyā batā.ūñ tujhe hamdam mirī hālat kyā hai
tū to vāqif hai ki us shoḳh kī aadat kyā hai
haa.e vo vasl kī shab dast-darāzī merī
us kā kahnā ki Thahar jā abhī aafat kyā hai
mujh se vo kahte haiñ insāf se tum hī kah do
zar na ho paas to ulfat kī zarūrat kyā hai
lākhoñ āshiq haiñ zamāne meñ hazāroñ dilbar
aap ko merī mujhe aap kī hājat kyā hai
ham to is qaul pe karte haiñ amal ai 'gustāḳh'
jo hasīnoñ meñ na ho sarf vo daulat kyā hai
kya bataun tujhe hamdam meri haalat kya hai
tu to waqif hai ki us shoKH ki aadat kya hai
hae wo wasl ki shab dast-daraazi meri
us ka kahna ki Thahar ja abhi aafat kya hai
mujh se wo kahte hain insaf se tum hi kah do
zar na ho pas to ulfat ki zarurat kya hai
lakhon aashiq hain zamane mein hazaron dilbar
aap ko meri mujhe aap ki hajat kya hai
hum to is qaul pe karte hain amal ai 'gustaKH'
jo hasinon mein na ho sarf wo daulat kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.