kya be-murawwati ka shikwa gila kisi se
kyā be-muravvatī kā shikva gila kisī se
ḳhud ham ne kab vafā kī apne sivā kisī se
is haath se vasūlī us haath se adaa.ī
pahuñchā diyā kisī ko jo kuchh milā kisī se
mālūm hai hameñ ham kitne paḌhe likhe haiñ
ye sun liyā kisī se vo sun liyā kisī se
us daur meñ kahāñ ye āzādī-e-amal thī
chorī-chhupe hamārā thā silsila kisī se
sab ek dūsre kī har baat jānte haiñ
maḳhfī nahīñ kisī kā achchhā burā kisī se
tum hī ḳhulūs-e-dil se aa jaate ho 'shu.ūr' ab
miltā hai kaun varna be-fā.eda kisī se
kya be-murawwati ka shikwa gila kisi se
KHud hum ne kab wafa ki apne siwa kisi se
is hath se wasuli us hath se adai
pahuncha diya kisi ko jo kuchh mila kisi se
malum hai hamein hum kitne paDhe likhe hain
ye sun liya kisi se wo sun liya kisi se
us daur mein kahan ye aazadi-e-amal thi
chori-chhupe hamara tha silsila kisi se
sab ek dusre ki har baat jaante hain
maKHfi nahin kisi ka achchha bura kisi se
tum hi KHulus-e-dil se aa jate ho 'shuur' ab
milta hai kaun warna be-faeda kisi se
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 111)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.