kya bujhaenge pyas ginti ke
kyā bujhā.eñge pyaas gintī ke
haiñ labālab gilās gintī ke
anginat haiñ ḳhushī ke saath yahāñ
pās-e-ġham jin ke paas gintī ke
har kisī ke na aao chakkar meñ
haiñ qayāfa-shanās gintī ke
har jagah ā.eñge nazar tum ko
ahl-e-zar ḳhush-libās gintī ke
bul-havas ḳhud-parast duniyā meñ
be-riyā ḳhud-shanās gintī ke
Digriyāñ-yāfta hazāroñ haiñ
haiñ haqīqat meñ paas gintī ke
yuuñ to fankār haiñ ka.ī 'muḳhlis'
fan jinheñ aayā raas gintī ke
kya bujhaenge pyas ginti ke
hain labaalab gilas ginti ke
anginat hain KHushi ke sath yahan
pas-e-gham jin ke pas ginti ke
har kisi ke na aao chakkar mein
hain qayafa-shanas ginti ke
har jagah aaenge nazar tum ko
ahl-e-zar KHush-libas ginti ke
bul-hawas KHud-parast duniya mein
be-riya KHud-shanas ginti ke
Digriyan-yafta hazaron hain
hain haqiqat mein pas ginti ke
yun to fankar hain kai 'muKHlis'
fan jinhen aaya ras ginti ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.