kya dam-e-naza koi aur tamanna karte
kya dam-e-naza koi aur tamanna karte
Sayad Humayun Mirza Haqeer
MORE BYSayad Humayun Mirza Haqeer
kyā dam-e-naz.a koī aur tamanna karte
jab talak dam na nikaltā use dekhā karte
dard-e-dūrī kā ba-juz marg nahīñ koī ilaaj
aise bīmār kī ham koī davā kyā karte
aise bhūle ki kabhī phir ke na pūchhā tum ne
kuchh to ai rāhat-e-jāñ paas vafā kā karte
jaur sab ham ne sahe jitne kiye gardūñ ne
dūrī-e-yār ko kis tarah gavāra karte
chashm-e-maḳhmūr se be-ḳhud jo na ho jaate ham
dil ko ātish-kada aur chashm ko dariyā karte
kar ke bismil jo hameñ chhoḌ diyā qātil ne
ham taḌapte ki use dekhte kyā kyā karte
vo ayādat ko 'haqīr' aap kī aate jo kabhī
karte ehsān agar aap ko achchhā karte
kya dam-e-naza koi aur tamanna karte
jab talak dam na nikalta use dekha karte
dard-e-duri ka ba-juz marg nahin koi ilaj
aise bimar ki hum koi dawa kya karte
aise bhule ki kabhi phir ke na puchha tum ne
kuchh to ai rahat-e-jaan pas wafa ka karte
jaur sab hum ne sahe jitne kiye gardun ne
duri-e-yar ko kis tarah gawara karte
chashm-e-maKHmur se be-KHud jo na ho jate hum
dil ko aatish-kada aur chashm ko dariya karte
kar ke bismil jo hamein chhoD diya qatil ne
hum taDapte ki use dekhte kya kya karte
wo ayaadat ko 'haqir' aap ki aate jo kabhi
karte ehsan agar aap ko achchha karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.