kya dekhega insan wahan apni nazar se
kyā dekhegā insān vahāñ apnī nazar se
zulmāt kī bārish ho jahāñ shams-o-qamar se
ho jaatī hai mazlūm kī fariyād kahāñ gum
kahtā hai falak guzrā hai sau baar udhar se
gulshan ko sajāyā hai charāġhāñ bhī karūñgā
bahne do abhī aur lahū mere jigar se
kyā tum ko nahīñ jumbish-e-lab bhī mirī manzūr
karte ho judā quvvat-e-parvāz ko par se
hai ab bhī agar deh meñ zinda kahīñ insāñ
kuchh sozish-e-pinhāñ se hai kuchh dīda-e-tar se
kya dekhega insan wahan apni nazar se
zulmat ki barish ho jahan shams-o-qamar se
ho jati hai mazlum ki fariyaad kahan gum
kahta hai falak guzra hai sau bar udhar se
gulshan ko sajaya hai charaghan bhi karunga
bahne do abhi aur lahu mere jigar se
kya tum ko nahin jumbish-e-lab bhi meri manzur
karte ho juda quwwat-e-parwaz ko par se
hai ab bhi agar deh mein zinda kahin insan
kuchh sozish-e-pinhan se hai kuchh dida-e-tar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.