Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya dikha sakta hai koi moajize assi karoD

Kazim Jarwali

kya dikha sakta hai koi moajize assi karoD

Kazim Jarwali

MORE BYKazim Jarwali

    kyā dikhā saktā hai koī mo.ajize assī karoḌ

    kyā kabhī hal ho sakeñge mas.ale assī karoḌ

    sochiye kyūñkar kaTegā vaqt lambā safar

    rahnumā koī nahīñ aur qāfile assī karoḌ

    koī bhī aañsū tumhāre poñchhne vaalā nahīñ

    kahne ko maañ haiñ tumhāre lāDle assī karoḌ

    us ke hoñToñ par jagānā hai masarrat lakīr

    jis ke siine meñ nihāñ haiñ aable assī karoḌ

    ek ke ba.ad ek raste meñ guzarne ke liye

    muntazir baiThe hue haiñ hādse assī karoḌ

    muḳhtalif andāz ke haiñ muḳhtalif lahjoñ meñ haiñ

    ik kitāb-e-zindagī ke tarjume assī karoḌ

    dekhiye kab ḳhatm ho ghuT ghuT ke jiine sazā

    ek rassī bhuuk hai aur gale assī karoḌ

    ḳhud 'kāzim' rakh diye ham ne jilā ke vāste

    chand fan-kāroñ ke aage aa.ine assī karoḌ

    kya dikha sakta hai koi moajize assi karoD

    kya kabhi hal ho sakenge masale assi karoD

    sochiye kyunkar kaTega waqt ka lamba safar

    rahnuma koi nahin aur qafile assi karoD

    koi bhi aansu tumhaare ponchhne wala nahin

    kahne ko man hain tumhaare laDle assi karoD

    us ke honTon par jagana hai masarrat ki lakir

    jis ke sine mein nihan hain aable assi karoD

    ek ke baad ek raste mein guzarne ke liye

    muntazir baiThe hue hain hadse assi karoD

    muKHtalif andaz ke hain muKHtalif lahjon mein hain

    ek kitab-e-zindagi ke tarjume assi karoD

    dekhiye kab KHatm ho ghuT ghuT ke jine ki saza

    ek rassi bhuk ki hai aur gale assi karoD

    KHud hi 'kazim' rakh diye hum ne jila ke waste

    chand fan-karon ke aage aaine assi karoD

    Source :
    • Book : کتاب سنگ (Pg. 15)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now