kya doge dawa tumko pata kuchh bhi nahin hai

kya doge dawa tumko pata kuchh bhi nahin hai
Faisal Qadri Gunnauri
MORE BYFaisal Qadri Gunnauri
kyā doge davā tum ko pata kuchh bhī nahīñ hai
bīmār-e-mohabbat kī davā kuchh bhī nahīñ hai
dīvāna-e-ulfat pe bachā kuchh bhī nahīñ hai
is dil meñ tire ġham ke sivā kuchh bhī nahīñ hai
iz.hār ke āsār 'ayāñ ho ga.e ruḳh se
maiñ ne to abhī lab se kahā kuchh bhī nahīñ hai
nādān the us shaḳhs se kī ham ne mohabbat
jis shaḳhs kī nazroñ meñ vafā kuchh bhī nahīñ hai
dīdār kī hasrat meñ guzar jaa.e na jaañ se
bīmār ko ārām zarā kuchh bhī nahīñ hai
ye nazm-e-jahāñ kaun chalātā hai batā.eñ
jo log ye kahte haiñ ḳhudā kuchh bhī nahīñ hai
ai husn ke paikar mire mahbūb ke aage
ye naaz ye shoḳhī ye adā kuchh bhī nahīñ hai
mujrim hai khule-ām ye insāf to dekho
hai us ko sazā jis kī ḳhatā kuchh bhī nahīñ hai
'faisal' rah-e-ulfat meñ gañvāyā hai sabhī kuchh
bas dard hī paa.e haiñ milā kuchh bhī nahīñ hai
kya doge dawa tum ko pata kuchh bhi nahin hai
bimar-e-mohabbat ki dawa kuchh bhi nahin hai
diwana-e-ulfat pe bacha kuchh bhi nahin hai
is dil mein tere gham ke siwa kuchh bhi nahin hai
izhaar ke aasar 'ayan ho gae ruKH se
main ne to abhi lab se kaha kuchh bhi nahin hai
nadan the us shaKHs se ki hum ne mohabbat
jis shaKHs ki nazron mein wafa kuchh bhi nahin hai
didar ki hasrat mein guzar jae na jaan se
bimar ko aaram zara kuchh bhi nahin hai
ye nazm-e-jahan kaun chalata hai bataen
jo log ye kahte hain KHuda kuchh bhi nahin hai
ai husn ke paikar mere mahbub ke aage
ye naz ye shoKHi ye ada kuchh bhi nahin hai
mujrim hai khule-am ye insaf to dekho
hai us ko saza jis ki KHata kuchh bhi nahin hai
'faisal' rah-e-ulfat mein ganwaya hai sabhi kuchh
bas dard hi pae hain mila kuchh bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.