kya dukh hai mera yaro kya gham hai kya bataun
kyā dukh hai merā yaaro kyā ġham hai kyā batā.ūñ
ye aañkh kis vajah se ab nam hai kyā batā.ūñ
bad-hāl kar chukī hai merī udāsī mujh ko
ye jism kis qadar ab be-dam hai kyā batā.ūñ
maiñ qahqahe lagātā to huuñ magar ai yaaro
in qahqahoñ meñ kyā kuchh mub.ham hai kyā batā.ūñ
dilkash hai yuuñ to abr-e-bārāñ sī aañkh merī
dil meñ magar ḳhizāñ kā mausam hai kyā batā.ūñ
kyoñ ḳhvāhisheñ na paale insān apne dil meñ
is ko bhī justujū-e-dam-ḳham hai kyā batā.ūñ
merā bhī vaqt 'nāqir' aa.egā ek din par
taqdīr kā sitārā maddham hai kyā batā.ūñ
kya dukh hai mera yaro kya gham hai kya bataun
ye aankh kis wajah se ab nam hai kya bataun
bad-haal kar chuki hai meri udasi mujh ko
ye jism kis qadar ab be-dam hai kya bataun
main qahqahe lagata to hun magar ai yaro
in qahqahon mein kya kuchh mubham hai kya bataun
dilkash hai yun to abr-e-baran si aankh meri
dil mein magar KHizan ka mausam hai kya bataun
kyon KHwahishen na pale insan apne dil mein
is ko bhi justuju-e-dam-KHam hai kya bataun
mera bhi waqt 'naqir' aaega ek din par
taqdir ka sitara maddham hai kya bataun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.