kya fasane mein mera nam kahin hota hai
kyā fasāne meñ mirā naam kahīñ hotā hai
tere hoñToñ pe nahīñ hai to nahīñ hotā hai
tū jise DhūñDhtā phirtā hai zamāne bhar meñ
apne dil meñ tū zarā jhāñk vahīñ hotā hai
kitne saada haiñ ye kashtī ke musāfir jin ko
nā-ḳhudāoñ kī ḳhudā.ī pe yaqīñ hotā hai
toḌ kar band-e-qabā chāk-garebāñ ho kar
rañg vahshat kā mirī aur hasīñ hotā hai
vo jatāne ko ye aatā hai ki maiñ aatā huuñ
varna dhyān us kā sadā aur kahīñ hotā hai
jabki baaqī hai bahut us kī bulandī kā safar
zikr insāñ kā sar-e-arsh-e-barīñ hotā hai
mat kaho us ko ziyāñ jis se ḳhushī miltī ho
vaqt aise kabhī zaa.e.a to nahīñ hotā hai
mai-kade meñ hī milegā tujhe terā 'ādil'
us ko jaanā hai kidhar roz vahīñ hotā hai
kya fasane mein mera nam kahin hota hai
tere honTon pe nahin hai to nahin hota hai
tu jise DhunDhta phirta hai zamane bhar mein
apne dil mein tu zara jhank wahin hota hai
kitne sada hain ye kashti ke musafir jin ko
na-KHudaon ki KHudai pe yaqin hota hai
toD kar band-e-qaba chaak-gareban ho kar
rang wahshat ka meri aur hasin hota hai
wo jatane ko ye aata hai ki main aata hun
warna dhyan us ka sada aur kahin hota hai
jabki baqi hai bahut us ki bulandi ka safar
zikr insan ka sar-e-arsh-e-barin hota hai
mat kaho us ko ziyan jis se KHushi milti ho
waqt aise kabhi zaea to nahin hota hai
mai-kade mein hi milega tujhe tera 'adil'
us ko jaana hai kidhar roz wahin hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.