kya gila is ka jo mera dil gaya
kyā gila is kā jo merā dil gayā
mil ga.e tum mujh ko sab kuchh mil gayā
jis ko āñkheñ DhūñDhtī thiiñ pā ga.iiñ
dil ko jis kī justujū thī mil gayā
is gul-e-ra.anā ne hañs kar baat kī
ġhuncha-e-ḳhātir hamārā khil gayā
chhoḌ kar tū us ko ġhairoñ se milā
ḳhaak meñ jo terī ḳhātir mil gayā
ban ga.ī har mauj ik mauj-e-sarāb
tishna-lab jab maiñ lab-e-sāhil gayā
arz-e-hāl-e-chāk-e-dil kyūñkar karūñ
sāmne un ke gayā muñh sil gayā
ġhair hī kyā be-ruḳhī se aap kī
aaj 'bedam' bhī bahut be-dil gayā
kya gila is ka jo mera dil gaya
mil gae tum mujh ko sab kuchh mil gaya
jis ko aankhen DhunDhti thin pa gain
dil ko jis ki justuju thi mil gaya
is gul-e-rana ne hans kar baat ki
ghuncha-e-KHatir hamara khil gaya
chhoD kar tu us ko ghairon se mila
KHak mein jo teri KHatir mil gaya
ban gai har mauj ek mauj-e-sarab
tishna-lab jab main lab-e-sahil gaya
arz-e-haal-e-chaak-e-dil kyunkar karun
samne un ke gaya munh sil gaya
ghair hi kya be-ruKHi se aap ki
aaj 'bedam' bhi bahut be-dil gaya
- Book : jigar parah armagaan bedam shaah (Pg. 32)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.