kya gulshan-e-hasti phule phale ek phul bhi jab shadab nahin
kya gulshan-e-hasti phule phale ek phul bhi jab shadab nahin
Nawab Dehlwi
MORE BYNawab Dehlwi
kyā gulshan-e-hastī phūle phale ik phuul bhī jab shādāb nahīñ
marne ke haiñ sāmāñ bahutere jiine ke magar asbāb nahīñ
mushtāq-e-nazāra ho kar bhī gustāḳh na thī bebāk na thī
ye pās-e-adab se uTh na sakī vo samjhe nazar ko taab nahīñ
allāh re tishnagī-e-hasrat sab pī gayā merā ḳhushk galā
qātil ko thā jis par naaz bahut talvār meñ ab vo aab nahīñ
kyā qahr kī hai ye majbūrī qānūn bhī badle fitrat ke
maiñ barq huuñ lekin sākin huuñ maiñ dil huuñ magar betāb nahīñ
shah pā ke nigāh-e-sāqī kī ḳhud haath sū-e-sāġhar lapkā
mai-ḳhvār takalluf kyoñ barte maiḳhāne ke ye ādāb nahīñ
ye baat vahī kuchh jānte haiñ Duube haiñ jo ġham ke dariyā meñ
sāhil pe jo haiñ vo kyā jāneñ girdāb hai yā girdāb nahīñ
chakkar meñ na phañs dhoke meñ na aa bachnā hai salāmat nā-mumkin
ye ishq-o-mohabbat kā dariyā be-pāyāñ hai pāyāb nahīñ
har haal meñ aañsū motī hai tafrīq magar ye hotī hai
jab tak na gire be-āb nahīñ gir jaa.e to phir nāyāb nahīñ
kya gulshan-e-hasti phule phale ek phul bhi jab shadab nahin
marne ke hain saman bahutere jine ke magar asbab nahin
mushtaq-e-nazara ho kar bhi gustaKH na thi bebak na thi
ye pas-e-adab se uTh na saki wo samjhe nazar ko tab nahin
allah re tishnagi-e-hasrat sab pi gaya mera KHushk gala
qatil ko tha jis par naz bahut talwar mein ab wo aab nahin
kya qahr ki hai ye majburi qanun bhi badle fitrat ke
main barq hun lekin sakin hun main dil hun magar betab nahin
shah pa ke nigah-e-saqi ki KHud hath su-e-saghar lapka
mai-KHwar takalluf kyon barte maiKHane ke ye aadab nahin
ye baat wahi kuchh jaante hain Dube hain jo gham ke dariya mein
sahil pe jo hain wo kya jaanen girdab hai ya girdab nahin
chakkar mein na phans dhoke mein na aa bachna hai salamat na-mumkin
ye ishq-o-mohabbat ka dariya be-payan hai payab nahin
har haal mein aansu moti hai tafriq magar ye hoti hai
jab tak na gire be-ab nahin gir jae to phir nayab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.