kya guman tha ki na hoga koi ham-sar apna
kyā gumāñ thā ki na hogā koī ham-sar apnā
din Dhale saaya muqābil huā baḌh kar apnā
ghar se nālāñ the magar dekhī hai duniyā ham ne
hai agar koī amāñ-gāh to bas ghar apnā
dard pe kaisā sharar ban ke uThā pahlū meñ
ham to yuuñ ḳhush the ki dil kar liyā patthar apnā
rāt-bhar koī na so.e to sune shor-e-fuġhāñ
chāñd ko dard sunātā hai samundar apnā
dukh uThā.e to bahut rañg ḳhud apne dekhe
kam qayāmat se na thā jo bhī thā manzar apnā
roz-o-shab apne kisī se nahīñ milte haiñ 'kamāl'
ham to laa.e haiñ alag sab se muqaddar apnā
kya guman tha ki na hoga koi ham-sar apna
din Dhale saya muqabil hua baDh kar apna
ghar se nalan the magar dekhi hai duniya hum ne
hai agar koi aman-gah to bas ghar apna
dard pe kaisa sharar ban ke uTha pahlu mein
hum to yun KHush the ki dil kar liya patthar apna
raat-bhar koi na soe to sune shor-e-fughan
chand ko dard sunata hai samundar apna
dukh uThae to bahut rang KHud apne dekhe
kam qayamat se na tha jo bhi tha manzar apna
roz-o-shab apne kisi se nahin milte hain 'kamal'
hum to lae hain alag sab se muqaddar apna
- Book : Khizan mera Mosam (Pg. 61)
- Author : Hassan Akbar Kamal
- Publication : Seep Publications, karachi (1980)
- Edition : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.