kya hai duniya dil-e-nadan ne samjha kya hai
kyā hai duniyā dil-e-nādān ne samjhā kyā hai
gaahe ġham gaahe ḳhushī aur yahāñ rakkhā kyā hai
sirf a.amāl haiñ insāñ kā asāsa kyā hai
chhoḌ kar jaanā hai sab kuchh yahāñ apnā kyā hai
Thokareñ khaa.ī haiñ jis ne zarā us se pūchho
tum ne dahlīz ke patthar ko bhī samjhā kyā hai
ye kyā samjheñge vafā rasm-e-mohabbat aḳhlāq
aaj ke daur ke insān ne dekhā kyā hai
phuul aur phal kī tamanna to hai jaa.ez lekin
ġhaur is par bhī kareñ aap ne boyā kyā hai
kisī ma.azūr kā bekas kā uḌaao na mazāq
kyā pata apne muqaddar meñ bhī likkhā kyā hai
zindagī se hai mirī lipTī huī gard-e-safar
maiñ ne dekhā hai jahāñ aap ne dekhā kyā hai
andhī taqlīd na kar soch samajh dekh 'shafaq'
ruḳh havā kā hai kidhar vaqt kā manshā kyā hai
kya hai duniya dil-e-nadan ne samjha kya hai
gahe gham gahe KHushi aur yahan rakkha kya hai
sirf aamal hain insan ka asasa kya hai
chhoD kar jaana hai sab kuchh yahan apna kya hai
Thokaren khai hain jis ne zara us se puchho
tum ne dahliz ke patthar ko bhi samjha kya hai
ye kya samjhenge wafa rasm-e-mohabbat aKHlaq
aaj ke daur ke insan ne dekha kya hai
phul aur phal ki tamanna to hai jaez lekin
ghaur is par bhi karen aap ne boya kya hai
kisi mazur ka bekas ka uDao na mazaq
kya pata apne muqaddar mein bhi likkha kya hai
zindagi se hai meri lipTi hui gard-e-safar
main ne dekha hai jahan aap ne dekha kya hai
andhi taqlid na kar soch samajh dekh 'shafaq'
ruKH hawa ka hai kidhar waqt ka mansha kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.