Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya hai sakin koi kah sakta hai kya chal raha hai

Ali Arman

kya hai sakin koi kah sakta hai kya chal raha hai

Ali Arman

MORE BYAli Arman

    kyā hai sākin koī kah saktā hai kyā chal rahā hai

    dasht-e-tasvīr meñ naqsh-e-kaf-e-pā chal rahā hai

    kā.enātoñ ke bhañvar Duub rahe haiñ mujh meñ

    kis ko ma.alūm mire zehn meñ kyā chal rahā hai

    apne siine meñ liye chaudah arab saal dukh

    maiñ akelā to nahīñ saath ḳhudā chal rahā hai

    mutma.in kaise kisī aur se ho paa.e vo dil

    jis ḳhud apnī dhaḌkan se gila chal rahā hai

    sun rahā huuñ maiñ chaTak ġhuncha-e-mustaqbil

    baaġh meñ tazkira-e-bād-e-sabā chal rahā hai

    saañs chaltī hai tire hijr meñ aise merī

    jaise sahrā meñ koī ābla-pā chal rahā hai

    ek pāñse meñ palaT saktī hai baazī pyāre

    dekhtā abhī sāñsoñ juā chal rahā hai

    kuchh bhī sākin nahīñ is ālam-e-kun meñ 'armān'

    hasb-e-taufīq har-ik chhoTā-baḌā chal rahā hai

    kya hai sakin koi kah sakta hai kya chal raha hai

    dasht-e-taswir mein naqsh-e-kaf-e-pa chal raha hai

    kaenaton ke bhanwar Dub rahe hain mujh mein

    kis ko malum mere zehn mein kya chal raha hai

    apne sine mein liye chaudah arab sal ka dukh

    main akela to nahin sath KHuda chal raha hai

    mutmain kaise kisi aur se ho pae wo dil

    jis ka KHud apni hi dhaDkan se gila chal raha hai

    sun raha hun main chaTak ghuncha-e-mustaqbil ki

    bagh mein tazkira-e-baad-e-saba chal raha hai

    sans chalti hai tere hijr mein aise meri

    jaise sahra mein koi aabla-pa chal raha hai

    ek panse mein palaT sakti hai bazi pyare

    dekhta ja abhi sanson ka jua chal raha hai

    kuchh bhi sakin nahin is aalam-e-kun mein 'arman'

    hasb-e-taufiq har-ik chhoTa-baDa chal raha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now