kya hum ko diya sham ne kya dega sawera
kyā ham ko diyā shaam ne kyā degā saverā
hogā na kabhī ḳhatm ye din-rāt kā pherā
ḳheme ko sañbhāleñgī na kamzor tanābeñ
āñdhī hai bahut zor kī uḌ jā.egā Derā
ham-zād tire shahr meñ phirte haiñ sar-e-ām
har ghar meñ hai sannāTe ke bhūtoñ kā baserā
kasrat se ghaTāoñ kī nazar aaya na sūraj
hai chāñd ke atrāf siyah abr kā gherā
ākāsh meñ taare haiñ na dhartī pe haiñ jugnū
uf raat balāoñ kī ye jangal kā añdherā
nāgin ho koī zulf kī jaadū kā koī naag
jūmeñge mirī biin pe sab maiñ huuñ saperā
kya hum ko diya sham ne kya dega sawera
hoga na kabhi KHatm ye din-raat ka phera
KHeme ko sanbhaalengi na kamzor tanaben
aandhi hai bahut zor ki uD jaega Dera
ham-zad tere shahr mein phirte hain sar-e-am
har ghar mein hai sannaTe ke bhuton ka basera
kasrat se ghaTaon ki nazar aaya na suraj
hai chand ke atraf siyah abr ka ghera
aakash mein tare hain na dharti pe hain jugnu
uf raat balaon ki ye jangal ka andhera
nagin ho koi zulf ki jadu ka koi nag
jumenge meri bin pe sab main hun sapera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.