kya haqiqat hai kya kahani hai
kyā haqīqat hai kyā kahānī hai
muḳhtasar apnī zindagānī hai
TuuT kar bah rahī haiñ chaTTāneñ
aaj ġham meñ baḌī ravānī hai
kaash pardes se chale aao
aaj kī shab baḌī suhānī hai
aaj tak intizār hai us kā
ek laḌkī baḌī divānī hai
aaj pahchāntā nahīñ mujh ko
maiñ ne har baat jis kī maanī hai
tujh ko apnā banā ke chhoḌūñgī
ab yahī baat dil meñ Thānī hai
us ko paane kī aas meñ 'nasrīn'
ham ne sahrā kī ḳhaak chhānī hai
kya haqiqat hai kya kahani hai
muKHtasar apni zindagani hai
TuT kar bah rahi hain chaTTanen
aaj gham mein baDi rawani hai
kash pardes se chale aao
aaj ki shab baDi suhani hai
aaj tak intizar hai us ka
ek laDki baDi diwani hai
aaj pahchanta nahin mujh ko
main ne har baat jis ki mani hai
tujh ko apna bana ke chhoDungi
ab yahi baat dil mein Thani hai
us ko pane ki aas mein 'nasrin'
hum ne sahra ki KHak chhani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.