kya hawaen hain kya ghaTaen hain
kyā havā.eñ haiñ kyā ghaTā.eñ haiñ
ab to badlī huī fazā.eñ haiñ
badlī badlī sī kyoñ nigāheñ haiñ
bahkī bahkī sī kyoñ adā.eñ haiñ
pahle hangāma-zā taqāze the
ab to ḳhāmosh iltijā.eñ haiñ
āñkhoñ meñ bolte hue aañsū
lab pe kuchh be-sadā duā.eñ haiñ
haañ chalā-chal musāfir-e-jannat
rah meñ do-chār karbalā.eñ haiñ
in meñ aur ham meñ qāsid-e-ulfat
kuchh mohabbat bharī duā.eñ haiñ
rind-e-ayyār zāhid-e-purkār
mere pīchhe ye do balā.eñ haiñ
yaañ qafas meñ bhī dekh le sayyād
bulbuloñ kī vahī sadā.eñ haiñ
kya hawaen hain kya ghaTaen hain
ab to badli hui fazaen hain
badli badli si kyon nigahen hain
bahki bahki si kyon adaen hain
pahle hangama-za taqaze the
ab to KHamosh iltijaen hain
aankhon mein bolte hue aansu
lab pe kuchh be-sada duaen hain
han chala-chal musafir-e-jannat
rah mein do-chaar karbalaen hain
in mein aur hum mein qasid-e-ulfat
kuchh mohabbat bhari duaen hain
rind-e-ayyar zahid-e-purkar
mere pichhe ye do balaen hain
yan qafas mein bhi dekh le sayyaad
bulbulon ki wahi sadaen hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.