kya hijr mein taskin ki surat nahin rahti
kyā hijr meñ taskīn kī sūrat nahīñ rahtī
rahtī hai magar terī badaulat nahīñ rahtī
ab jaise koī kaam hī ruktā nahīñ apnā
ab jaise kisī shai kī zarūrat nahīñ rahtī
duniyā se guzar jaate haiñ duniyā kī talab meñ
duniyā se hameñ koī shikāyat nahīñ rahtī
vo mauj-e-sad-āvāz bulātī to hai ab bhī
mujh ko hī udhar jaane kī fursat nahīñ rahtī
nāgin kī tarah raat simaT aatī hai dil meñ
jab sāmne ik chāñd sī sūrat nahīñ rahtī
kahte the bahut dil na lagā kār-e-havas meñ
le dekh ki is shauq meñ izzat nahīñ rahtī
kya hijr mein taskin ki surat nahin rahti
rahti hai magar teri badaulat nahin rahti
ab jaise koi kaam hi rukta nahin apna
ab jaise kisi shai ki zarurat nahin rahti
duniya se guzar jate hain duniya ki talab mein
duniya se hamein koi shikayat nahin rahti
wo mauj-e-sad-awaz bulati to hai ab bhi
mujh ko hi udhar jaane ki fursat nahin rahti
nagin ki tarah raat simaT aati hai dil mein
jab samne ek chand si surat nahin rahti
kahte the bahut dil na laga kar-e-hawas mein
le dekh ki is shauq mein izzat nahin rahti
- Book : غبار حیرانی (Pg. 97)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.