kya hua humne agar ishq mein ujlat nahin ki
kyā huā ham ne agar ishq meñ ujlat nahīñ kī
TuuT kar us ne bhī ham se to mohabbat nahīñ kī
faisla yuuñ to sadā sunte rahe apne ḳhilāf
is qabīle se magar ham ne baġhāvat nahīñ kī
rabt us shaḳhs se chāhā thā ki qaa.em rahtā
mere sukh-dukh meñ kabhī us ne hī shirkat nahīñ kī
apne bachchoñ se mohabbat ke talabgār rahe
bāvajūde-ki buzurgoñ kī bhī izzat nahīñ kī
us ne tamġha jo atā mujh ko kiyā ḳhuub kiyā
maiñ ne jī-jān se kab us kī itā.at nahīñ kī
dūsre shahr kī miTTī kise apnātī hai
apnī bastī se kahīñ ham ne bhī hijrat nahīñ kī
nekiyāñ jitnī bhī kar sakte the bas karte rahe
aur badle meñ kabhī ḳhvāhish-e-jannat nahīñ kī
aisā lagtā hai ki ham bhī the sadā ke būḌhe
ya.anī bachpan meñ bhī kuchh jam ke sharārat nahīñ kī
kya hua hum ne agar ishq mein ujlat nahin ki
TuT kar us ne bhi hum se to mohabbat nahin ki
faisla yun to sada sunte rahe apne KHilaf
is qabile se magar hum ne baghawat nahin ki
rabt us shaKHs se chaha tha ki qaem rahta
mere sukh-dukh mein kabhi us ne hi shirkat nahin ki
apne bachchon se mohabbat ke talabgar rahe
bawajude-ki buzurgon ki bhi izzat nahin ki
us ne tamgha jo ata mujh ko kiya KHub kiya
main ne ji-jaan se kab us ki itaat nahin ki
dusre shahr ki miTTi kise apnati hai
apni basti se kahin hum ne bhi hijrat nahin ki
nekiyan jitni bhi kar sakte the bas karte rahe
aur badle mein kabhi KHwahish-e-jannat nahin ki
aisa lagta hai ki hum bhi the sada ke buDhe
yani bachpan mein bhi kuchh jam ke shararat nahin ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.