kya hua insan ki pahchan ko
Interesting Fact
آزاد غزل
kyā huā insān kī pahchān ko
pūjtā hai jānvar be-jān ko
baad muddat apnī dhun meñ hech samjhā husn ke farmān ko
ho gayā kyā ishq ke irfān ko
zindagī kā mā-hasal paayā nahīñ
ham ne siine se lagā rakkhā hai jhūTī shaan ko
jaan hai mehmān ik din jā.egī
tā-ba-ke rokeñge ham mehmān ko
ho jo matlab to parastish bhī kare
nochtā hai varna ye insān hī insān ko
is qadar vahshat baḌhī insān meñ
dekh kar hairat huī haivān ko
vo samajh jā.egā āḳhir jis meñ hai kuchh sūjh-būjh
kaun samjhā.e magar nādān ko
merā suunā man hai ab sansār se dāman-kashāñ
Thes vo pahuñchī hai mere maan ko
'krishn-mohan' kis qadar jabr-o-tashaddud sah liyā
aadmī ne sar chaḌhāyā is qadar īmān ko
kya hua insan ki pahchan ko
pujta hai jaanwar be-jaan ko
baad muddat apni dhun mein hech samjha husn ke farman ko
ho gaya kya ishq ke irfan ko
zindagi ka ma-hasal paya nahin
hum ne sine se laga rakkha hai jhuTi shan ko
jaan hai mehman ek din jaegi
ta-ba-ke rokenge hum mehman ko
ho jo matlab to parastish bhi kare
nochta hai warna ye insan hi insan ko
is qadar wahshat baDhi insan mein
dekh kar hairat hui haiwan ko
wo samajh jaega aaKHir jis mein hai kuchh sujh-bujh
kaun samjhae magar nadan ko
mera suna man hai ab sansar se daman-kashan
Thes wo pahunchi hai mere man ko
'krishn-mohan' kis qadar jabr-o-tashaddud sah liya
aadmi ne sar chaDhaya is qadar iman ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.