kya hua jo dil hua qurban hanste bolte
kyā huā jo dil huā qurbān hañste bolte
jāñ-nisāroñ hī se haiñ maidān hañste bolte
taaḌ lete haiñ yūñhī anjān hañste bolte
yuuñ nahīñ har ik se merī jaan hañste bolte
tum farishta ho parī ho huur ho kyā chiiz ho
is tarah se to nahīñ insān hañste bolte
bain kaisā jab shahīd-e-'ishq kahlātā hai ye
tum mire dil kā karo e'lān hañste bolte
ham ne jo tā'rīf kī un kī vo barham ho ga.e
muft hī meñ ho gayā chālān hañste bolte
tum zamāne ke ho harjā.ī mujhe mā'lūm thā
le ga.e aa kar mirā īmān hañste bolte
hazrat-e-'hāris-alī’ ke vāste kyā hai ġhazal
vo to kah lete haiñ ik dīvān hañste bolte
kya hua jo dil hua qurban hanste bolte
jaan-nisaron hi se hain maidan hanste bolte
taD lete hain yunhi anjaan hanste bolte
yun nahin har ek se meri jaan hanste bolte
tum farishta ho pari ho hur ho kya chiz ho
is tarah se to nahin insan hanste bolte
bain kaisa jab shahid-e-'ishq kahlata hai ye
tum mere dil ka karo e'lan hanste bolte
hum ne jo ta'rif ki un ki wo barham ho gae
muft hi mein ho gaya chaalan hanste bolte
tum zamane ke ho harjai mujhe ma'lum tha
le gae aa kar mera iman hanste bolte
hazrat-e-'haaris-ali’ ke waste kya hai ghazal
wo to kah lete hain ek diwan hanste bolte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.