kya hua jo dushmanon ke darmiyan KHanjar chale
kyā huā jo dushmanoñ ke darmiyāñ ḳhanjar chale
dostoñ meñ bhī to aksar tanz ke patthar chale
lo farishtoñ ke paroñ kī ḳhushbueñ lahrā ga.iiñ
din Dhalā schōl se bachche ab apne ghar chale
sā.ebāñ-dar-sā.ebāñ thā chīḳhtī rūhoñ kā shor
ek ghar ghabrā ke ghar se mere bām-o-dar chale
band kamra niilī battī aur mirā tanhā vajūd
rāt-bhar dīvār par rangīn se manzar chale
phir saḌak par ban rahe haiñ kitne shīshe ke makāñ
dekhiye phir jhoñpaḌoñ se kab koī patthar chale
mai-kade qānūn ke bistar pe jā ke so chuke
raat aadhī jā chukī ab ham bhī apne ghar chale
kya hua jo dushmanon ke darmiyan KHanjar chale
doston mein bhi to aksar tanz ke patthar chale
lo farishton ke paron ki KHushbuen lahra gain
din Dhala school se bachche ab apne ghar chale
saeban-dar-saeban tha chiKHti ruhon ka shor
ek ghar ghabra ke ghar se mere baam-o-dar chale
band kamra nili batti aur mera tanha wajud
raat-bhar diwar par rangin se manzar chale
phir saDak par ban rahe hain kitne shishe ke makan
dekhiye phir jhonpaDon se kab koi patthar chale
mai-kade qanun ke bistar pe ja ke so chuke
raat aadhi ja chuki ab hum bhi apne ghar chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.