kya hua jo par hamare phans gae hain jal mein
kya hua jo par hamare phans gae hain jal mein
Dharvendra Singh Bedar
MORE BYDharvendra Singh Bedar
kyā huā jo par hamāre phañs ga.e haiñ jaal meñ
ham parinde uḌ chuke haiñ pahle bhī is haal meñ
par katar Daale bhale sayyād Daine noch le
āsmāñ ko ham chhueñge ek din har haal meñ
zindagī ke rāste hoñ laakh pech-o-ḳham bhare
zindagī uljhā na pā.egī hameñ janjāl meñ
zindagī meñ jītnā mumkin na ho be-shak magar
hārnā sīkhā nahīñ ham ne kisī bhī haal meñ
hoñ na hoñ ham kal yahāñ 'bedār' lekin nekiyāñ
an-ginat hoñgī hamāre nāma-e-ā’māl meñ
kya hua jo par hamare phans gae hain jal mein
hum parinde uD chuke hain pahle bhi is haal mein
par katar Dale bhale sayyaad Daine noch le
aasman ko hum chhuenge ek din har haal mein
zindagi ke raste hon lakh pech-o-KHam bhare
zindagi uljha na paegi hamein janjal mein
zindagi mein jitna mumkin na ho be-shak magar
haarna sikha nahin hum ne kisi bhi haal mein
hon na hon hum kal yahan 'bedar' lekin nekiyan
an-ginat hongi hamare nama-e-a’mal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.