kya hua kyun hua kis liye kya KHabar jo hua so hua tu use bhul ja
kya hua kyun hua kis liye kya KHabar jo hua so hua tu use bhul ja
Nirmal Nadeem
MORE BYNirmal Nadeem
kyā huā kyuuñ huā kis liye kyā ḳhabar jo huā so huā tū use bhuul jā
jaag kar raat bhar ho ga.ī hai sahar ab na ḳhud ko jalā tū use bhuul jā
kaun aayā yahāñ chal paḌīñ āñdhiyāñ kaun vīrān kar ke gayā gulsitāñ
kis ne rakh diiñ lab-e-gul pe chingāriyāñ ye kise hai pata tū use bhuul jā
raat kī baat thī phir sahar ho ga.ī vaqt chaltā rahā dopahar ho ga.ī
shaam aane ko hai raat chhāne ko hai bikhre sapne uThā tū use bhuul jā
ham-navā ham-safar mo'tabar rāhbar phir mileñge tujhe tū shurū' kar safar
kho gayā jo guhar aa.egā lauT kar apnī hastī banā tū use bhuul jā
sochnā hai tirā vo na tum ko milā sach to ye hai magar tū na us ko milā
us kī qismat meñ shāyad thī tishna-labī ho gayā jo ḳhafā tū use bhuul jā
ye tirā ḳhvāb hai kitnā nāyāb hai tere ruḳh par usī kī chaḌhī taab hai
ek ḳhurshīd hai ek mahtāb hai maan merā kahā tū use bhuul jā
dil meñ jo dard hai raah kī gard hai jhaaḌ de jo use vo baḌā mard hai
dekh le zindagī garm hai sard hai chhoḌ shikva-gila tū use bhuul jā
ghar se bāhar nikal karvaTeñ mat badal chal mire saath chal āñsuoñ meñ na Dhal
dekh le shāḳh par ek bhīgā kañval muskurāne lagā tū use bhuul jā
kya hua kyun hua kis liye kya KHabar jo hua so hua tu use bhul ja
jag kar raat bhar ho gai hai sahar ab na KHud ko jala tu use bhul ja
kaun aaya yahan chal paDin aandhiyan kaun viran kar ke gaya gulsitan
kis ne rakh din lab-e-gul pe chingariyan ye kise hai pata tu use bhul ja
raat ki baat thi phir sahar ho gai waqt chalta raha dopahar ho gai
sham aane ko hai raat chhane ko hai bikhre sapne uTha tu use bhul ja
ham-nawa ham-safar mo'tabar rahbar phir milenge tujhe tu shuru' kar safar
kho gaya jo guhar aaega lauT kar apni hasti bana tu use bhul ja
sochna hai tera wo na tum ko mila sach to ye hai magar tu na us ko mila
us ki qismat mein shayad thi tishna-labi ho gaya jo KHafa tu use bhul ja
ye tera KHwab hai kitna nayab hai tere ruKH par usi ki chaDhi tab hai
ek KHurshid hai ek mahtab hai man mera kaha tu use bhul ja
dil mein jo dard hai rah ki gard hai jhaD de jo use wo baDa mard hai
dekh le zindagi garm hai sard hai chhoD shikwa-gila tu use bhul ja
ghar se bahar nikal karwaTen mat badal chal mere sath chal aansuon mein na Dhal
dekh le shaKH par ek bhiga kanwal muskurane laga tu use bhul ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.