kya hua sar jo tan se juda ho gaya
kyā huā sar jo tan se judā ho gayā
haq mohabbat kā kuchh to adā ho gayā
ye muqaddar bhī kaisī ajab chiiz hai
shaah thā jo kabhī vo gadā ho gayā
sab kī āñkhoñ kā taarā rahā umr-bhar
us ne sach jab kahā to burā ho gayā
zaḳhm jaane hī kitne hare ho ga.e
aaj un se mirā sāmnā ho gayā
jo vafāoñ kā paikar thā sab ke liye
log kahte haiñ vo bevafā ho gayā
tujh se shikva nahīñ ai mire ham-nashīñ
haañ muqaddar hī mujh se ḳhafā ho gayā
aisā rūThā vo mujh se ai ‘shāmā’ ki bas
ruuh kā jism se fāsla ho gayā
kya hua sar jo tan se juda ho gaya
haq mohabbat ka kuchh to ada ho gaya
ye muqaddar bhi kaisi ajab chiz hai
shah tha jo kabhi wo gada ho gaya
sab ki aankhon ka tara raha umr-bhar
us ne sach jab kaha to bura ho gaya
zaKHm jaane hi kitne hare ho gae
aaj un se mera samna ho gaya
jo wafaon ka paikar tha sab ke liye
log kahte hain wo bewafa ho gaya
tujh se shikwa nahin ai mere ham-nashin
han muqaddar hi mujh se KHafa ho gaya
aisa ruTha wo mujh se ai ‘shama’ ki bas
ruh ka jism se fasla ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.