kya isko shikayat hai ki main kuchh nahin kahta
kya isko shikayat hai ki main kuchh nahin kahta
Munshi Khairati Laal Shagufta
MORE BYMunshi Khairati Laal Shagufta
kyā is kī shikāyat hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
kuchh to mujhe dahshat hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
nāhaq kī ye hujjat hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
merī to ye aadat hai ki meñ kuchh nahīñ kahtā
tum gāliyāñ dete ho har ik baat meñ dekho
merī ye sharāfat hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
vo kahte haiñ mujh se ki ḳhatā par tire haq meñ
itnā hī ġhanīmat hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
chāhūñ to abhī ġhair ko pahlū se uThā duuñ
par aap kī dahshat hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
dekh ai but-e-kam-go tirī sohbat ke asar se
merī bhī ye ḳhaslat hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
but ban gayā huuñ ik but-e-be-raham ke Dar se
varna mirī shāmat hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
ahbāb ko saktā hai mirī kam-suḳhanī par
mujh ko bhī ye hairat hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
ai jaan na pūchho mirī chup rahne kā kuchh haal
aisī hī aziyyat hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
kahtā jo maiñ kuchh haal to hotā unheñ kuchh rahm
ye bhī mirī qismat hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
kyā tum se kahūñ us but-e-tarrār ke aage
merī to ye sūrat hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
ḳhāmosh huuñ mujrim kī tarah aap ke aage
goyā mujhe ḳhiffat hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
jo dil pe guzar jaa.e guzar jaa.e 'shagufta'
par merī ye aadat hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
kya is ki shikayat hai ki main kuchh nahin kahta
kuchh to mujhe dahshat hai ki main kuchh nahin kahta
nahaq ki ye hujjat hai ki main kuchh nahin kahta
meri to ye aadat hai ki mein kuchh nahin kahta
tum galiyan dete ho har ek baat mein dekho
meri ye sharafat hai ki main kuchh nahin kahta
wo kahte hain mujh se ki KHata par tere haq mein
itna hi ghanimat hai ki main kuchh nahin kahta
chahun to abhi ghair ko pahlu se uTha dun
par aap ki dahshat hai ki main kuchh nahin kahta
dekh ai but-e-kam-go teri sohbat ke asar se
meri bhi ye KHaslat hai ki main kuchh nahin kahta
but ban gaya hun ek but-e-be-raham ke Dar se
warna meri shamat hai ki main kuchh nahin kahta
ahbab ko sakta hai meri kam-suKHani par
mujh ko bhi ye hairat hai ki main kuchh nahin kahta
ai jaan na puchho meri chup rahne ka kuchh haal
aisi hi aziyyat hai ki main kuchh nahin kahta
kahta jo main kuchh haal to hota unhen kuchh rahm
ye bhi meri qismat hai ki main kuchh nahin kahta
kya tum se kahun us but-e-tarrar ke aage
meri to ye surat hai ki main kuchh nahin kahta
KHamosh hun mujrim ki tarah aap ke aage
goya mujhe KHiffat hai ki main kuchh nahin kahta
jo dil pe guzar jae guzar jae 'shagufta'
par meri ye aadat hai ki main kuchh nahin kahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.