kya ishq ka len nam hawas aam nahin hai
Interesting Fact
July 1961
kyā ishq kā leñ naam havas aam nahīñ hai
andhoñ ko añdhere meñ koī kaam nahīñ hai
thā jaam to is aas pe baiThe the ki mai aa.e
mai aa.ī to rindoñ ke liye jaam nahīñ hai
jiite ho to jiine kā evaz ziist se māñgo
maut apnā muqaddar hai ye in.aam nahīñ hai
kaT jā.egī ye raat guzāro kisī karvaT
ab sub.h se pahle to koī shaam nahīñ hai
jiite the ki sar-e-dosh pe thā bār-e-garāñ thā
marte haiñ ki sar par koī ilzām nahīñ hai
yaañ raushani-e-sub.h to vaañ nik.hat-e-gul hai
yuuñ husn-e-gurezāñ kā koī naam nahīñ hai
ḳhud vaqt ko miltā hai sukūñ terī galī meñ
sunte haiñ vahāñ gardish-e-ayyām nahīñ hai
saaya huuñ magar mehr-e-daraḳhshāñ se hai nisbat
zulmat huuñ par andhoñ se mujhe kaam nahīñ hai
'bāqar' se nahīñ izzat-e-sādāt pe kuchh harf
āshiq to banā phirtā hai badnām nahīñ hai
kya ishq ka len nam hawas aam nahin hai
andhon ko andhere mein koi kaam nahin hai
tha jam to is aas pe baiThe the ki mai aae
mai aai to rindon ke liye jam nahin hai
jite ho to jine ka ewaz zist se mango
maut apna muqaddar hai ye inam nahin hai
kaT jaegi ye raat guzaro kisi karwaT
ab subh se pahle to koi sham nahin hai
jite the ki sar-e-dosh pe tha bar-e-garan tha
marte hain ki sar par koi ilzam nahin hai
yan raushani-e-subh to wan nikhat-e-gul hai
yun husn-e-gurezan ka koi nam nahin hai
KHud waqt ko milta hai sukun teri gali mein
sunte hain wahan gardish-e-ayyam nahin hai
saya hun magar mehr-e-daraKHshan se hai nisbat
zulmat hun par andhon se mujhe kaam nahin hai
'baqar' se nahin izzat-e-sadat pe kuchh harf
aashiq to bana phirta hai badnam nahin hai
- Book : Kulliyat-e-Baqir (Pg. 57)
- Author : Sajjad Baqir Rizvi
- Publication : Sayyed Mohammad Ali Anjum Rizvi (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.