kya jaane kahan le gai tanhai hamari
kyā jaane kahāñ le ga.ī tanhā.ī hamārī
muddat huī kuchh bhī na ḳhabar aa.ī hamārī
is dasht-e-gum-āsār meñ aane ke nahīñ ham
hai aur kahīñ bādiya-paimā.ī hamārī
is raah se ham bach ke nikal aa.e vagarna
baiThī thī kamīñ-gāh meñ rusvā.ī hamārī
rah rah ke jo tasvīr chamaktī hai fazā meñ
ham us ke haiñ shaidā.ī vo shaidā.ī hamārī
dil baiThne lagtā hai yahī soch ke ab bhī
phir raat tabī.at nahīñ ghabrā.ī hamārī
ab ḳhāk-e-nadāmat se uTTheñ bhī to kahāñ jaa.eñ
honī hī nahīñ jab kahīñ shunavā.ī hamārī
ik dil ke taqāze kī hī takmīl hai varna
kyā arz-e-hunar kyā suḳhan-ārā.ī hamārī
kya jaane kahan le gai tanhai hamari
muddat hui kuchh bhi na KHabar aai hamari
is dasht-e-gum-asar mein aane ke nahin hum
hai aur kahin baadiya-paimai hamari
is rah se hum bach ke nikal aae wagarna
baiThi thi kamin-gah mein ruswai hamari
rah rah ke jo taswir chamakti hai faza mein
hum us ke hain shaidai wo shaidai hamari
dil baiThne lagta hai yahi soch ke ab bhi
phir raat tabiat nahin ghabrai hamari
ab KHak-e-nadamat se uTThen bhi to kahan jaen
honi hi nahin jab kahin shunawai hamari
ek dil ke taqaze ki hi takmil hai warna
kya arz-e-hunar kya suKHan-arai hamari
- Book : غبار حیرانی (Pg. 128)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.