kya jaaniye kya ishq ka mear kahe hai
kyā jāniye kyā ishq kā me.aar kahe hai
sajde ko bhī tauhīn-e-dar-e-yār kahe hai
kyā baat ye ai aql ke bīmār kahe hai
ġham aise hasīñ phuul ko tū ḳhaar kahe
jis baat ko kahte hue Dartā hai zamāna
vo mere sivā kaun sar-e-dār kahe hai
ai josh-e-junūñ tū hī qadam apne baḌhā de
ye aql to har raah ko dushvār kahe hai
vo ziist jise dil kī jarāhat kā hai ehsās
har saañs ko chaltī huī talvār kahe hai
bekār sahī aañkh se Tapkā huā aañsū
anmol ise merā ḳharīdār kahe hai
kaun aisā hai vaa.iz jo gunāhoñ se bachā ho
kyoñ bāda-parastoñ ko gunahgār kahe hai
is bazm meñ jo bhī nazar aatā hai vo be-ḳhud
ye hosh kahāñ kyā nigah-e-yār kahe hai
fursat ho to ġham-ḳhāne meñ aakar kabhī sun lo
'shā.ir' kā fasāna dar-o-dīvār kahe hai
kya jaaniye kya ishq ka mear kahe hai
sajde ko bhi tauhin-e-dar-e-yar kahe hai
kya baat ye ai aql ke bimar kahe hai
gham aise hasin phul ko tu KHar kahe
jis baat ko kahte hue Darta hai zamana
wo mere siwa kaun sar-e-dar kahe hai
ai josh-e-junun tu hi qadam apne baDha de
ye aql to har rah ko dushwar kahe hai
wo zist jise dil ki jarahat ka hai ehsas
har sans ko chalti hui talwar kahe hai
bekar sahi aankh se Tapka hua aansu
anmol ise mera KHaridar kahe hai
kaun aisa hai waiz jo gunahon se bacha ho
kyon baada-paraston ko gunahgar kahe hai
is bazm mein jo bhi nazar aata hai wo be-KHud
ye hosh kahan kya nigah-e-yar kahe hai
fursat ho to gham-KHane mein aakar kabhi sun lo
'shair' ka fasana dar-o-diwar kahe hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.