kya kahen kya kuchh raha kya kah gae
kyā kaheñ kyā kuchh rahā kyā kah ga.e
ham unheñ bas dekhte hī rah ga.e
rāhateñ un par do-ālam kī nisār
tere dīvāne jo sadme sah ga.e
yaad aa.iiñ aglī ashk-afshāniyāñ
aur donoñ muskurā kar rah ga.e
hālat-e-dil sab pe vāzeh ho ga.ī
be-irāda chand aañsū bah ga.e
sochte haiñ har dafa mil kar unheñ
un se kyā kahnā thā aur kyā kah ga.e
ma.azarat-ḳhvāh haiñ ki mai ke baab meñ
ham nashe meñ jaane kyā kuchh kah ga.e
kya kahen kya kuchh raha kya kah gae
hum unhen bas dekhte hi rah gae
rahaten un par do-alam ki nisar
tere diwane jo sadme sah gae
yaad aain agli ashk-afshaniyan
aur donon muskura kar rah gae
haalat-e-dil sab pe wazeh ho gai
be-irada chand aansu bah gae
sochte hain har dafa mil kar unhen
un se kya kahna tha aur kya kah gae
mazarat-KHwah hain ki mai ke bab mein
hum nashe mein jaane kya kuchh kah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.