kya kahen lutf-o-inayat kise kahte hain
kyā kaheñ lutf-o-'ināyāt kise kahte haiñ
pūchhiye ham se ki sadmāt kise kahte haiñ
apne baare meñ to ham ne kabhī sochā hī nahīñ
kyā batā.eñ ki ġham-e-zāt kise kahte haiñ
kar diyā ġharq mujhe tum ne sahārā de kar
ye 'ināyat hai to phir ghaat kise kahte haiñ
hausla hārnā fitrat meñ nahīñ hai shāmil
ham ko mā'lūm nahīñ maat kise kahte haiñ
ham taġhāful kī shikāyat nahīñ karte lekin
ye batāo ki 'ināyāt kise kahte haiñ
aap ne dil ko khilaune kī tarah toḌ diyā
aap kyā jāneñ ki jazbāt kise kahte haiñ
kaun dar-parda tire 'ishq meñ Duubā hai 'shakīl'
log jā jā ke tirī baat kise kahte haiñ
kya kahen lutf-o-'inayat kise kahte hain
puchhiye hum se ki sadmat kise kahte hain
apne bare mein to hum ne kabhi socha hi nahin
kya bataen ki gham-e-zat kise kahte hain
kar diya gharq mujhe tum ne sahaara de kar
ye 'inayat hai to phir ghat kise kahte hain
hausla haarna fitrat mein nahin hai shamil
hum ko ma'lum nahin mat kise kahte hain
hum taghaful ki shikayat nahin karte lekin
ye batao ki 'inayat kise kahte hain
aap ne dil ko khilaune ki tarah toD diya
aap kya jaanen ki jazbaat kise kahte hain
kaun dar-parda tere 'ishq mein Duba hai 'shakil'
log ja ja ke teri baat kise kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.