kya kahen yaro kya kya hum par ishq KHarabi laya hai
kyā kaheñ yaaro kyā kyā ham par ishq ḳharābī laayā hai
aañkh se le kar dil tak jaise ik dhundalkā chhāyā hai
jaise dhanak ākāsh pe nikle bādal ke chhaT jaane par
yuuñ hī tere ġham meñ ro kar vaqt suhānā aayā hai
merī baat na sunñe vaale pūchh is se tū haal mirā
aañsū ek fasāna ban ke palkoñ par tharrāyā hai
biit ga.ī hai dil pe qayāmat lab pe shikāyat lā na sake
aap ko kyā ma.alūm ki ham ne jaan ke dhokā khāyā hai
merī ġhazal ke ā.īne meñ dekh ke apnā rang-e-jamāl
kis kis naaz se sar ko jhukā kar kyā kyā vo sharmāyā hai
raat hasīnoñ ke jamghaT meñ kyā kyā naaz ke phuul khile
sāz-e-tarab kī chheḌ se lekin aur bhī dil ghabrāyā hai
raah se terī haT jaane kā jab bhī ham ne ahd kiyā
ik ik naqsh-e-qadam ne uTh kar pahroñ hameñ samjhāyā hai
shāyad ab ke baar to un se sulh na ho is jang ke ba.ad
ab ke apne aap ko ham ne sanjīda sā paayā hai
aisī kyā thī tujh se shikāyat aisā kyā thā tujh se malāl
aaj tirī adnā sī ināyat dekh ke dil bhar aayā hai
kya kahen yaro kya kya hum par ishq KHarabi laya hai
aankh se le kar dil tak jaise ek dhundalka chhaya hai
jaise dhanak aakash pe nikle baadal ke chhaT jaane par
yun hi tere gham mein ro kar waqt suhana aaya hai
meri baat na sunne wale puchh is se tu haal mera
aansu ek fasana ban ke palkon par tharraya hai
bit gai hai dil pe qayamat lab pe shikayat la na sake
aap ko kya malum ki hum ne jaan ke dhoka khaya hai
meri ghazal ke aaine mein dekh ke apna rang-e-jamal
kis kis naz se sar ko jhuka kar kya kya wo sharmaya hai
raat hasinon ke jamghaT mein kya kya naz ke phul khile
saz-e-tarab ki chheD se lekin aur bhi dil ghabraya hai
rah se teri haT jaane ka jab bhi hum ne ahd kiya
ek ek naqsh-e-qadam ne uTh kar pahron hamein samjhaya hai
shayad ab ke bar to un se sulh na ho is jang ke baad
ab ke apne aap ko hum ne sanjida sa paya hai
aisi kya thi tujh se shikayat aisa kya tha tujh se malal
aaj teri adna si inayat dekh ke dil bhar aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.