kya kahen ye jabr kaisa zindagi ke sath hai
kyā kaheñ ye jabr kaisā zindagī ke saath hai
ham kisī ke saath haiñ aur dil kisī ke saath hai
zinda rakhne kī rivāyat āstīñ ke saañp kī
ik na ik hamdard bhī har aadmī ke saath hai
apnī apnī maslahat hai apnā apnā hai mafād
varna is duniyā meñ kab koī kisī ke saath hai
ho chukī haiñ mushkilāt-e-rāh sab par āshkār
ab jo mere saath hai apnī ḳhushī ke saath
vaz.a-dārī kī qasam hai shahr meñ bas ik 'ra.īs'
dekhiye jab bhī use zinda-dilī ke saath hai
kya kahen ye jabr kaisa zindagi ke sath hai
hum kisi ke sath hain aur dil kisi ke sath hai
zinda rakhne ki riwayat aastin ke sanp ki
ek na ek hamdard bhi har aadmi ke sath hai
apni apni maslahat hai apna apna hai mafad
warna is duniya mein kab koi kisi ke sath hai
ho chuki hain mushkilat-e-rah sab par aashkar
ab jo mere sath hai apni KHushi ke sath
waza-dari ki qasam hai shahr mein bas ek 'rais'
dekhiye jab bhi use zinda-dili ke sath hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.