kya kahna tha bhul gai main aankhon ki is jal-thal mein
kyā kahnā thā bhuul ga.ī maiñ āñkhoñ kī is jal-thal meñ
ab ke milne jā.ūñgī maiñ girah lagā kar āñchal meñ
jab tak us kā shahr dikhā dekhā rail kī khiḌkī se
baa'd hazīñ phir baiTh ke maiñ ne yaad nichoḌīñ āñchal meñ
duur talak hai dhuāñ dhuāñ sā dishā dikhe nā koī Dagar
jaise aag sulagtī koī chhoḌ gayā ho jangal meñ
shaam Dhale tak jise ukerā baiTh ke maiñ ne sāhil par
raat ga.e vahī chehra dekhā maiñ ne umañDte bādal meñ
nā aahaT nā koī dastak nā ilhām koī 'tārā'
jaane kab vo aan basā thā man bai-rāgī pāgal meñ
kya kahna tha bhul gai main aankhon ki is jal-thal mein
ab ke milne jaungi main girah laga kar aanchal mein
jab tak us ka shahr dikha dekha rail ki khiDki se
ba'd hazin phir baiTh ke main ne yaad nichoDin aanchal mein
dur talak hai dhuan dhuan sa disha dikhe na koi Dagar
jaise aag sulagti koi chhoD gaya ho jangal mein
sham Dhale tak jise ukera baiTh ke main ne sahil par
raat gae wahi chehra dekha main ne umanDte baadal mein
na aahaT na koi dastak na ilham koi 'tara'
jaane kab wo aan basa tha man bai-ragi pagal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.