kya kahun dil to giraftar-e-bala hai ab tak
kyā kahūñ dil to giraftār-e-balā hai ab tak
kaun dushman hai jo is ghar meñ chhupā hai ab tak
kis ko ilzām duuñ ai baḳht-e-sitamgar tū batā
phuul de kar mujhe patthar hī milā hai ab tak
band hai bāb-e-ijābat to koī kyā māñge
ik mirā dast-e-duā hai ki uThā hai ab tak
kaun huuñ ye nahīñ ma.alūm magar huuñ maujūd
itnī hī baat kā idrāk huā hai ab tak
ḳhaar to ḳhaar hai kyoñ us ko uThāyā maiñ ne
apne hī dil kī muravvat se gila hai ab tak
ho ga.e mujh se judā saare rafīqān-e-safar
ik faqat dard hai pahlū se lagā hai ab tak
koī badlā nahīñ is daur-e-ḳhirad meñ 'ahmad'
ek maiñ huuñ ki jise pās-e-vafā hai ab tak
kya kahun dil to giraftar-e-bala hai ab tak
kaun dushman hai jo is ghar mein chhupa hai ab tak
kis ko ilzam dun ai baKHt-e-sitamgar tu bata
phul de kar mujhe patthar hi mila hai ab tak
band hai bab-e-ijabat to koi kya mange
ek mera dast-e-dua hai ki uTha hai ab tak
kaun hun ye nahin malum magar hun maujud
itni hi baat ka idrak hua hai ab tak
KHar to KHar hai kyon us ko uThaya main ne
apne hi dil ki murawwat se gila hai ab tak
ho gae mujh se juda sare rafiqan-e-safar
ek faqat dard hai pahlu se laga hai ab tak
koi badla nahin is daur-e-KHirad mein 'ahmad'
ek main hun ki jise pas-e-wafa hai ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.