kya kahun kaise karishme dekhe
kyā kahūñ kaise karishme dekhe
maiñ ne āvāz ke saa.e dekhe
merī hijrat hī na likkhī ho kahīñ
maiñ ne ḳhvāboñ meñ parinde dekhe
terī āñkhoñ meñ the jugnū raqsāñ
apnī palkoñ pe sitāre dekhe
maiñ ne jaate hue dekhā tujh ko
tujh ko takte hue raste dekhe
jin kī palkoñ pe sahīfe utreñ
maiñ ne kuchh aise bhī chehre dekhe
vasl vāloñ kī aziyyat dekhī
hijr vāloñ ke salīqe dekhe
muskurāhaT nahīñ dekhī merī
tū ne bas paañv meñ chhāle dekhe
jis ne māthe pe rakhī hoñ āñkheñ
vo koī aadmī kaise dekhe
jis ne dekhā na ho darvesh 'safī'
vo mire ghar kabhī aa.e dekhe
kya kahun kaise karishme dekhe
main ne aawaz ke sae dekhe
meri hijrat hi na likkhi ho kahin
main ne KHwabon mein parinde dekhe
teri aankhon mein the jugnu raqsan
apni palkon pe sitare dekhe
main ne jate hue dekha tujh ko
tujh ko takte hue raste dekhe
jin ki palkon pe sahife utren
main ne kuchh aise bhi chehre dekhe
wasl walon ki aziyyat dekhi
hijr walon ke saliqe dekhe
muskurahaT nahin dekhi meri
tu ne bas panw mein chhaale dekhe
jis ne mathe pe rakhi hon aankhen
wo koi aadmi kaise dekhe
jis ne dekha na ho darwesh 'safi'
wo mere ghar kabhi aae dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.