kya kahun kya husul-e-hasti hai
kyā kahūñ kyā husūl-e-hastī hai
ruuh qaid-e-balā meñ phañstī hai
zard-rūī se za.afarāñ huuñ maiñ
ḳhalq hastī pe mere hañstī hai
nahīñ jis dil meñ dāġh-e-ishq-e-butāñ
ba-ḳhudā be-charāġh bastī hai
jhukte haiñ jo najīb hote haiñ
sach hai teġh-e-asīl kastī hai
yaad us kākul-e-pareshāñ kī
rāt-bhar ban ke saañp Dastī hai
mast-o-majzūb meñ nahīñ kuchh farq
mai-parastī ḳhudā-parastī hai
ek botal to le ke aa saaqī
jaan mai-ḳhvāroñ kī tarastī hai
ThanDī ThanDī havā hai gulshan meñ
dhīmī dhīmī ghaTā barastī hai
dūd-e-dil se hai rū-siyāh falak
aah gardūñ kā muñh jhulastī hai
nīstī kā mazā nahīñ miltā
'bāqī' jab tak ki apnī hastī hai
kya kahun kya husul-e-hasti hai
ruh qaid-e-bala mein phansti hai
zard-rui se zafaran hun main
KHalq hasti pe mere hansti hai
nahin jis dil mein dagh-e-ishq-e-butan
ba-KHuda be-charagh basti hai
jhukte hain jo najib hote hain
sach hai tegh-e-asil kasti hai
yaad us kakul-e-pareshan ki
raat-bhar ban ke sanp Dasti hai
mast-o-majzub mein nahin kuchh farq
mai-parasti KHuda-parasti hai
ek botal to le ke aa saqi
jaan mai-KHwaron ki tarasti hai
ThanDi ThanDi hawa hai gulshan mein
dhimi dhimi ghaTa barasti hai
dud-e-dil se hai ru-siyah falak
aah gardun ka munh jhulasti hai
nisti ka maza nahin milta
'baqi' jab tak ki apni hasti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.