kya kahun main ki yun hua na hua
kyā kahūñ maiñ ki yuuñ huā na huā
kyā se kyā ho gayā hai kyā na huā
khoyā jaatā thā fā.eda na huā
ham-nashīñ bhī ġham-āshnā na huā
naqsh-pā-e-ḳhayāl-e-shauq ba-dast
manzil-e-rang ko ravāna huā
dil huā ḳhuuñ vo aa.eñ baat nahīñ
aaj hī ghar meñ boriyā na huā
kuchh chalī hai tulū-e-sub.h kī raat
gardish-e-dam kā mājrā na huā
in pahāḌoñ ko chīrtī hai nigāh
koī us tak hī rāsta na huā
daaġh chehre pe dil ke aaya hai
kaun kahtā hai aa.ina na huā
ghup añdhere meñ raushnī kaisī
sāmne haiñ vo sāmnā na huā
ye sharar-bār āsmāñ 'nāzir'
log kahte haiñ rahnumā na huā
kya kahun main ki yun hua na hua
kya se kya ho gaya hai kya na hua
khoya jata tha faeda na hua
ham-nashin bhi gham-ashna na hua
naqsh-pa-e-KHayal-e-shauq ba-dast
manzil-e-rang ko rawana hua
dil hua KHun wo aaen baat nahin
aaj hi ghar mein boriya na hua
kuchh chali hai tulu-e-subh ki raat
gardish-e-dam ka majra na hua
in pahaDon ko chirti hai nigah
koi us tak hi rasta na hua
dagh chehre pe dil ke aaya hai
kaun kahta hai aaina na hua
ghup andhere mein raushni kaisi
samne hain wo samna na hua
ye sharar-bar aasman 'nazir'
log kahte hain rahnuma na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.