kya kahun maine kaisi khai choT
kyā kahūñ maiñ ne kaisī khaa.ī choT
peT ukhḌā kamar meñ aa.ī choT
jis pe biitī na vo ho vo kyā jaane
un ko ik khel hai parā.ī choT
aur khaao zarā qalā-bāzī
tum ne apne gunoñ se khaa.ī choT
mere dukh kā sharīk kaun huā
apnī apnī sabhoñ ne gaa.ī choT
god lenā mujhe na raas aaya
ye na.ī tarah kī uThā.ī choT
mere chehre se ho ga.ī zāhir
laakh maiñ ne bahan chhupā.ī choT
ab buḌhautī meñ dard hotā hai
haDDiyoñ ne bahut churā.ī choT
koī saudā na thā mire qābil
jā ke bāzār meñ maiñ laa.ī choT
aañsū bhar aa.e un kī āñkhoñ meñ
maiñ ne 'shaidā' ko jab dikhā.ī choT
kya kahun main ne kaisi khai choT
peT ukhDa kamar mein aai choT
jis pe biti na wo ho wo kya jaane
un ko ek khel hai parai choT
aur khao zara qala-bazi
tum ne apne gunon se khai choT
mere dukh ka sharik kaun hua
apni apni sabhon ne gai choT
god lena mujhe na ras aaya
ye nai tarah ki uThai choT
mere chehre se ho gai zahir
lakh main ne bahan chhupai choT
ab buDhauti mein dard hota hai
haDDiyon ne bahut churai choT
koi sauda na tha mere qabil
ja ke bazar mein main lai choT
aansu bhar aae un ki aankhon mein
main ne 'shaida' ko jab dikhai choT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.