kya kare chashm-e-ghalat-andaz be-taqsir hai
kyā kare chashm-e-ġhalat-andāz be-taqsīr hai
ai shah-e-ḳhūbāñ kamāñ bhārī hai halkā tiir hai
merā muñh chhoTā baḌī bātoñ meñ kyūñkar daḳhl duuñ
sāmne tasvīr-e-yūsuf ke tirī tasvīr hai
kal na thī milne kī fursat aaj vo ghar par nahīñ
dekh ai tadbīr ke haamī yahī taqdīr hai
maiñ bhī dil rakhtā huuñ kyā mujh ko nahīñ shauq-e-haram
ḳhaak but-ḳhāne kī lekin paañv kī zanjīr hai
'aks hai phir 'aks ā.īne se itnā rabt kyā
asl se behtar hai mere dil meñ jo tasvīr hai
aañkh ke andar nigāh-e-nāz hai kitnī ġharīb
aañkh se bāhar yahī chaltī huī shamshīr hai
'sidq' sach pūchho to puujā husn hī kī hai bajā
lab-kushā.ī meñ ḳhudā kā ḳhauf dāman-gīr hai
kya kare chashm-e-ghalat-andaz be-taqsir hai
ai shah-e-KHuban kaman bhaari hai halka tir hai
mera munh chhoTa baDi baaton mein kyunkar daKHl dun
samne taswir-e-yusuf ke teri taswir hai
kal na thi milne ki fursat aaj wo ghar par nahin
dekh ai tadbir ke hami yahi taqdir hai
main bhi dil rakhta hun kya mujh ko nahin shauq-e-haram
KHak but-KHane ki lekin panw ki zanjir hai
'aks hai phir 'aks aaine se itna rabt kya
asl se behtar hai mere dil mein jo taswir hai
aankh ke andar nigah-e-naz hai kitni gharib
aankh se bahar yahi chalti hui shamshir hai
'sidq' sach puchho to puja husn hi ki hai baja
lab-kushai mein KHuda ka KHauf daman-gir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.