kya kare koi chaaragar yaro
kyā kare koī chārāgar yaaro
har asar jab ho be-asar yaaro
ham samajhte haiñ ziist meñ ham ne
zaḳhm khaa.e haiñ kis qadar yaaro
is se pahle ki bijliyāñ phūñkeñ
phūñk do bijliyoñ ke ghar yaaro
sarfarāzī hameñ na mil paatī
ham na chaḌhte jo daar par yaaro
bach sakeñge kahāñ paḌosī bhī
jal to jā.egā merā ghar yaaro
faisla ho chukā jo honā thā
ab ye kyā hai agar-magar yaaro
tum ko manzil kabhī na mil paatī
ham na bante jo rāhbar yaaro
tum hī munsif ho faisla kar do
pesh haiñ zer aur zabar yaaro
be-ruḳhī ham se āḳhirash kab tak
ab to ham par bhī ik nazar yaaro
ham sazā-vār-e-har-sazā yuuñ haiñ
ban sake ham na ḳhud-nigar yaaro
aa.ina kar ga.e haiñ 'hairat' ko
hazrat-e-'abr' aur 'qamar' yaaro
kya kare koi chaaragar yaro
har asar jab ho be-asar yaro
hum samajhte hain zist mein hum ne
zaKHm khae hain kis qadar yaro
is se pahle ki bijliyan phunken
phunk do bijliyon ke ghar yaro
sarfaraazi hamein na mil pati
hum na chaDhte jo dar par yaro
bach sakenge kahan paDosi bhi
jal to jaega mera ghar yaro
faisla ho chuka jo hona tha
ab ye kya hai agar-magar yaro
tum ko manzil kabhi na mil pati
hum na bante jo rahbar yaro
tum hi munsif ho faisla kar do
pesh hain zer aur zabar yaro
be-ruKHi hum se aaKHirash kab tak
ab to hum par bhi ek nazar yaro
hum saza-war-e-har-saza yun hain
ban sake hum na KHud-nigar yaro
aaina kar gae hain 'hairat' ko
hazrat-e-'abr' aur 'qamar' yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.