kya karen paD gae hain uljhan mein
kyā kareñ paḌ ga.e haiñ uljhan meñ
ham qafas meñ haiñ dil nasheman meñ
donoñ aalam meñ hashr barpā hai
aap baiThe hue ho chilman meñ
kyoñ nasīm-e-sahar udaas hai aaj
phuul kyoñ nauha-zan haiñ gulshan meñ
haq usī ko hai sohbat-e-gul kā
jis ne kāñTe chune hoñ dāman meñ
dil kā ġhuncha kabhī khile yā-rab
phuul khilte haiñ roz gulshan meñ
apnā kah kar mujhe sar-e-mahfil
Daal dī tum ne jaan uljhan meñ
kya karen paD gae hain uljhan mein
hum qafas mein hain dil nasheman mein
donon aalam mein hashr barpa hai
aap baiThe hue ho chilman mein
kyon nasim-e-sahar udas hai aaj
phul kyon nauha-zan hain gulshan mein
haq usi ko hai sohbat-e-gul ka
jis ne kanTe chune hon daman mein
dil ka ghuncha kabhi khile ya-rab
phul khilte hain roz gulshan mein
apna kah kar mujhe sar-e-mahfil
Dal di tum ne jaan uljhan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.