kya karte kahin aur Thikana hi nahin tha
kyā karte kahīñ aur Thikāna hī nahīñ thā
varna hameñ is kūche meñ aanā hī nahīñ thā
hangāma-e-vahshat thā jahāñ jashn-e-junūñ meñ
dekhā to vahāñ koī divāna hī nahīñ thā
vo dil kī lagī hai ki bujhā.e nahīñ bujhtī
kal raat gale us ko lagānā hī nahīñ thā
miltā hai to ab aañkh milā bhī nahīñ paatā
vo ḳhvāb use yaad dilānā hī nahīñ thā
jab dekho usī yaad ke narġhe meñ paḌe ho
ye haal agar hai to bhulānā hī nahīñ thā
tārīkī-e-sahrā meñ Darātī hai ik āvāz
yuuñ dil ko sar-e-shām bujhānā hī nahīñ thā
vo shaḳhs jise soch ke āñkhoñ meñ ga.ī raat
'mahfūz' use dhyān meñ laanā hī nahīñ thā
kya karte kahin aur Thikana hi nahin tha
warna hamein is kuche mein aana hi nahin tha
hangama-e-wahshat tha jahan jashn-e-junun mein
dekha to wahan koi diwana hi nahin tha
wo dil ki lagi hai ki bujhae nahin bujhti
kal raat gale us ko lagana hi nahin tha
milta hai to ab aankh mila bhi nahin pata
wo KHwab use yaad dilana hi nahin tha
jab dekho usi yaad ke narghe mein paDe ho
ye haal agar hai to bhulana hi nahin tha
tariki-e-sahra mein Daraati hai ek aawaz
yun dil ko sar-e-sham bujhana hi nahin tha
wo shaKHs jise soch ke aankhon mein gai raat
'mahfuz' use dhyan mein lana hi nahin tha
- Book : غبار حیرانی (Pg. 52)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.