kya kashish allah re duniya-e-ab-o-gil mein hai
kyā kashish allāh re duniyā-e-āb-o-gil meñ hai
tā-abad jiine kī ḳhvāhish har bashar ke dil meñ hai
biit jaa.e kyā ḳhudā jaane jahān-e-shauq par
vo to kahiye lailā-e-husn-e-azal mahmil meñ hai
kuchh hamīñ pahchānte haiñ rū-e-tābāñ ko tire
zikr tere husn kā kahne ko har mahfil meñ hai
kaash ye khul jaa.e tujh par ai asīr-e-āb-o-gil
ik surūr-e-be-karāñ tasḳhīr-e-āb-o-gil meñ hai
koī mahram hī nahīñ jab rāz-hā-e-ishq kā
ham kisī ko kyā batā.eñ kyā hamāre dil meñ hai
ishq ne tai kar liye haft-āsmāñ muddat huī
aql-e-nādāñ gum abhī tak jāda-e-manzil meñ hai
rahzan-e-hosh-o-ḳhirad hai ye jahān-e-rang-o-bū
ḳhud se begāna hai 'sābir' jo bhī is mahfil meñ hai
kya kashish allah re duniya-e-ab-o-gil mein hai
ta-abad jine ki KHwahish har bashar ke dil mein hai
bit jae kya KHuda jaane jahan-e-shauq par
wo to kahiye laila-e-husn-e-azal mahmil mein hai
kuchh hamin pahchante hain ru-e-taban ko tere
zikr tere husn ka kahne ko har mahfil mein hai
kash ye khul jae tujh par ai asir-e-ab-o-gil
ek surur-e-be-karan tasKHir-e-ab-o-gil mein hai
koi mahram hi nahin jab raaz-ha-e-ishq ka
hum kisi ko kya bataen kya hamare dil mein hai
ishq ne tai kar liye haft-asman muddat hui
aql-e-nadan gum abhi tak jada-e-manzil mein hai
rahzan-e-hosh-o-KHirad hai ye jahan-e-rang-o-bu
KHud se begana hai 'sabir' jo bhi is mahfil mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.