kya KHabar kab tak hujum-e-dahr ka hissa rahun
kya KHabar kab tak hujum-e-dahr ka hissa rahun
Majid Jahangeer Mirza
MORE BYMajid Jahangeer Mirza
kyā ḳhabar kab tak hujūm-e-dahr kā hissa rahūñ
darmiyāñ maiñ dīn-o-duniyā ke yūñhī aTkā rahūñ
zulm sah kar vahshiyoñ ke haath par bai'at karūñ
jism-o-jāñ chīḳheñ musalsal aur maiñ Dartā rahūñ
ab taġhayyur māñgtā hai zindagī kā har varaq
yād-e-māzī be-sabab kyoñ tujh se maiñ lipTā rahūñ
sabr ke saare madārij chākrī karte phireñ
baañT duuñ saarī sabīleñ aur ḳhud pyāsā rahūñ
ab mirī taḳhlīq ke asbāb se parda uThā
'arsh vaale kis liye maiñ farsh par bejā rahūñ
amn ke nā're tumhārī zaat tak mahdūd haiñ
kab talak lāsheñ uThā.ūñ chīthḌe chuntā rahūñ
kya KHabar kab tak hujum-e-dahr ka hissa rahun
darmiyan main din-o-duniya ke yunhi aTka rahun
zulm sah kar wahshiyon ke hath par bai'at karun
jism-o-jaan chiKHen musalsal aur main Darta rahun
ab taghayyur mangta hai zindagi ka har waraq
yaad-e-mazi be-sabab kyon tujh se main lipTa rahun
sabr ke sare madarij chaakri karte phiren
banT dun sari sabilen aur KHud pyasa rahun
ab meri taKHliq ke asbab se parda uTha
'arsh wale kis liye main farsh par beja rahun
amn ke na're tumhaari zat tak mahdud hain
kab talak lashen uThaun chithDe chunta rahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.